Sunday 9 December 2012

Top 10 Romantic Bollywood Dialogues

1.   Aisa pehli baar hua hai satrah atharah salo mein. Andekha anjanna koi aane laga hai khayalon mein. Aankhon ki khidki per ek saya sa lehraata hai, dil ke derwaze par koi dastak de ke jata hai. Gehri gehri kaali aankhen uski, mujhse mujhko puchhatti. Aisa pehli baar hua hai satrah atharah salo mein.

-Kajol in Dilwale Dulhaniya Le Jayaayenge

2.   Agar kahi kabhi bhi koi dost ki zarrorat pade toh bas itna yaad rakhna ki sarhad paar ek aisa shaks hai jo aap ke liye apni jaan bhi de dega.

-Shahrukh Khan in Veer Zaara

3.   Paani si pyaas na bujhi to mekhane ti taraf chal nikla socha shikayat karu teri khuda se, par woh bhi tera aashiq nikla.

-Aamir Khan in Fanaa

4.   Aapko maloom hai Sir, ke mere paas Megha ki ek bhi tasveer nahi hai. Kabhi zarurat hi nahi padi kyunki jahan bhi pyar ho, jahan bhi mohabbat ho, muhje wahan meri Megha dikhi.

-Shahrukh Khan in Mohabbatein
5.   Main jab bhi aap ko dekhta hoon mujhe Rab dikhta hai. Rab ke samne matha tekta hoon toh dil ko sukoon milta hai. Aap ko hanste hoye dekhta hoon toh dil ko aur bhi sukoon milta hai. Toh main toh aap Rab se bhi zyada pyar karta hoon.

-Shahrukh Khan in Rab Ne Bana Di Jodi
6.   Yeh pyar nahi hai toh aur kya hai, Suman? Tum hasti ho to main hasta hoon, tum roti ho toh main rota hoon aur jab pyar hota hai na toh dil ko chot pahunchti hai.

-Salman Khan in Maine Pyar Kiya

7.   Itni shidaat se main tumhe paane ki koshish ki hai, hi har zaare ne mujhe tumse milane ki saazish ki hai. Kehte hain ki, agar kisi cheez ko dil se chaaho to puri kayanat usey tumse milane ki koshish mein lag jaati hai.

-Shahrukh Khan in Om Shanti Om

8   .Naina, kash mein tumhe bata sakta mein tumhe kitna chahta hun. I love you, I love you very very much Naina. Mein aakhein band karta hun to tumhe dekhta hoon, aakhein kholta hoon to tumhe dekhna chahta hoon. Tum paas nahi hoti to tumhe charo taraf mehsoos karta hun. Har pal, har ghadi, har waqt, mere naina meri Naina ko doond teh hai. Isse pyar kaho, paagalpan, ya mere dil ki dhadkan, mere liye ek hi baat hai. Pyar to bahut log karte hain lekin mere jaisa pyar koi nahi kar sakta kyonki kisi ke paas tum jo nahi ho. Mein tumhe bhool nahi sakta Naina, mein tumhe bhoolna hi nahi chahta. Tum meri ho, mein tumhe zindagi bhar pyar karunga. Marte dam tak pyar karunga aur uske baad bhi.

-Shahrukh Khan in Kal Ho Na Ho

9.   Dosti keh alaava bhi kuch rishte hote hain. Kuch rishte joh hum samajhte nahin, kuch rishte jo hum samajhna nahin chahte. Chub toh nahin raha? Kuch rishte jinka koi naam nahin hota, sirf ehsaas hota hai. Chub toh nahin raha? Kuch rishte jinki koi deewar nahin hoti, sarhad nahin hoti. Chub toh nahin raha? Aise rishte jo dil ke rishte hote hain, pyar ke rishte hote hain, mohabbat ke rishte hote hain. Chuba? Mujhe bhi.

-Shahrukh Khan in K3G

10.   Ae Gauri. Saare gaaon mein ek hi ghar hai jike aangan mein neem ka ped hai. Bagal ma bada sa khet bhi hai. Ek joda bel, do gaay, aur teen bakriyan bhi hai. Aur main jaanu hoon pagli ki woh ghar mora hai. Aur ek baat bhi sunti ja. Tu Mai ko pasand bhi hai.

No comments:

Post a Comment